Founder of YouTube Video Sharing Website


Founder of YouTube

Ek waqt tha ke insan jab bore hota tha tu entertain hone ke liye apna waqt sirf television ya radio mein hi guzar sakta tha lykin ub tu zamana itna badal gaya hai ke television, computer, laptop, iPod, tablet, smart phone aur in sab pe raaj karne wala internet entertainment ka zariya ban chukka hai wo waqt takreeban sab ne hi dhega hi hoga ke jab internet ko chalane ke liye log per hour charges pay kar ke internet chalane net café ki taraf jaya karte the phir 2G ka dur aya aur dhekte hi  dhekte 3G aur phr 4G aur ub tu internet ko use karna itna asan hogaya hai ke ub computer aur laptop ke bajaye ziada tar log internet ka istemal apne smart phone hi karte hen aur insan ki tamam tar zaroriyat internet se hi pori ho rahi hen jin mein online shopping, vehicle booking, marrage, health tricks, cooking aur ese najane kahi aur bhi chezen hen jo ub internet se hi kiya ja raha hai aur entertainment liye latadad social websites internet mein mojud hai jin mein ziada mashoor Facebook, Twitter, Instagram, WhatsApp, Google plus aur YouTube wagera shamil hai yahan hum sirf ek esi website ke bare mein discussed kare ge jo ke wo na sirf Pakistan ya India balke pore mulk se us website ko achi khasi rating hasil hai aur wo hai “YOUTUBE”, who is the Founder of YouTube? ye website kese start hui aur ye itne kam arse mein kese grow hui aye ap ko founder of YouTube aur is website ke bare mein kuch interesting information farham karte hein.

Founder of YouTube
Founder of YouTube

Yahan pe rozana log hazaro video upload karte hen jine hum ba asani se click kar ke dhek sakte hen internet ki duniya mein ye ek wahid esa plate farm hai jahan har insan apna talent asani se pori duniya tak phuncha sakta hai, duniya ka ek buhut mashoor pop star Justin Beiber bhi yahin pe video bana kr hi hit howa tha lekin sawal ye paida hota hai ke is ki shuruwat akhir kese hui aur who is the Founder of YouTube? Is site ko teen logo ne mil kar shuru kiya tha aur founder of YouTube  Chad Hurley, Steve Chen aur Jawed Karim hai aur ye teeno Paypal nami ek mashoor company mein mulazim the in teeno ka maqsad ye tha ke log apni video upload kare aur apne bare mein bataye aur ye bhi bataye ke unhe kin logo mein dilchaspi hai darasal ye ek dating site ke liye banayi gayi thi founder of YouTube ki taraf se is ko 14 February, 2005 ko registered kiya gaya lekin ye idea kam nahi aya kyun ke logo ne is yahan pe har tarha ki video upload karna shuru kardi is tarha ye ek dating site banne ke bajaye video sharing site ban gayi YouTube ki pheli video 23 April, 2005 ko Jawed Karim ne upload kari thi is video mein ye dhekhaya gaya tha ke Jawed Karim ek zoo mein khare the aur in ke piche hati khare the pheli video jo buhut ziada Viral hui thi aur jis per takreeban 10 lakh views aye the wo Nike ka ek istehar tha jis mein ek mashoor footballer Ronald Denio bhi tha is video ki viral ki waja Nike aur Ronald Denio the is video mein September 2005 mein 100000 views aa gaye aur is hi tarha ahista ahista ye site logo mein popular hona shuru hogaya 2006 ki ibteda mein ye worldwide web mein sab se tezi se grow karni wali website ban chuki thi July, 2006 mein YouTube mein tu rozana takreeban 100 million views ana shuru hogaye the is ko us waqt duniya ki pandarwi 15 mashoor tareen website bhi qarar diya gaya tha.

Founder of YouTube sold out YouTube to Google


Founder of YouTube ko in ke site ke Hite hojane ke bad buhut si mashoor company ne khareedne ke liye khuwaish zahir ki akhir kar 09 October 2006 ko is ko Google ne $ 1,650,000,000 pe khareed liya ye Google company ka ek buhut bara faisla aur sarmaya khari thi Google ne is ki popularity ko dhek kr kafi behtreen faisla kiya us waqt YouTube mein 65 log job kar rahe the Founder of YouTube Chad Hurley aur Steve Chen ko in peso ka ek buhut bara hissa mila jabke Jawed Karim ko chota hissa milla kyon ke Jawed Karim apni parhai ki waja se site pe as an adviser ke tor pe kam karne ko tarji di thi, December 2012 mein ek video ne pheli bar 100382639 views hasil kiye aur us ke bad se ye sab se bari video sharing network ban gayi is waqt YouTube ka headquater american riyasat California mein hai.

Suggestion and Comments


Is Social network ki sab se achi bat ye ke ye hum sab ko barabari ka chance deti hai hum apna channel ba asani se bana kar video ko upload kar sakte hen aur apna talent manwa sakte hen, Buhut jald mera channel Information Online YouTube pe nazar aye ga phir wahan pe apko kahi achi achi unique aur interesting video dhekne ko mila kare gi umeed hai apko ye post Founder of YouTube pasand ayi ho gi agar meri is post Founder of YouTube ke mutalliq ya is website ke hawale se apne agar koi suggestion ya koi bat batani ho tu ap muje comments kar ke batasakte hen.

No comments

Powered by Blogger.