Fact about day of 14 February in History
Day of 14 February
14 February yani Valentine’s day kia hota hai ye valentine 14 February ko hi kyun manaya jata hai esa kia howa tha is din aur is din ko phele kis ne manaya tha aur kis ki yad mein ye 14 February Valentine manaya tha shayad hum me se kahi log ye sab bate nahi jante hen aur hum na jante howe bhi is din ko celebrate karte hen apni girlfriend / Boyfriend ko gift dete mulaqat ke liye jate yani aj ke lafz mein kaha jaye tu date pe jate red rose dete aur na jane kia kia behoda aur najaiz kam bhi karte hon ge kahi survey se ye bt bhi samne ayi hai ke 14 February ke din Zina ka bhi rujan kahi ziada hota hai aur is jesi najaiz aur haram kam ki ijazat kisi mazhab mein bhi nahi hai aur Islam mein tu gair mehroom larki ya larke ko bila ijazate shariyat ke dhekna aur bat karne ko bhi manahat hai. Ek report ke mutabik family planning ki Medicines aam dino ke muqable mein 14 February yani Valentein’s Day mein kahi guna ziada bikti hein aur in medicines ko purchase karne wale nujawon larkiyan aur larke hote hen gift shops aur phoolon ki dukan mein rash kahi ziada hota hai aur ine bhi khareedne wale nojawon larkiyan aur larke hi hote hen chand muslim mumalik mein behayai ke liye mehfooz mukamat ki talash hoti hai isi maqsad ke liye 14 February ko hotels ki booking aam dino ke muqable mein bhar jati hai aur hotels booking karwa kar behoda kam kiya jata hai sharab jesi haram chez ka betehasha istemal hota hai tafri gaho aur sahil-e-samander mein behayai aur be pardagi ka naya samander dhekne ko milta hai agar in bato sab bato ka centre idea bataya jaye tu 14 February ko gunah ka bazaar garam hota hai aur hum apni mout ko bhol kar Allah ki nafarmaniya karte hen. 14 February Valentine ka din kuyn manya jata hai is ke bare mein kuch haqiqat janiye mein apko 14 February ke din ko kyun celebrate karte hen is din ka waqia farham karta hon.
Read More Click here..
Read More Click here..
Stop Celebrate Valentine's Day 14 February |
14 February in History
Ye waqia 3rd AD Century ka hai Rome mein ek padri yani father rehta tha jese log saint valentine kaha karte the saint valentine wo shakhs tha jo hukumat ke khilaf tha aur hukumat ke khilaf logo ki shadiyan karwata tha tu us waqat ke badshah ko is pe buhut gussa aya badshah ke mulk ke qanoon ko torne par badsha ne use jail mein qiad kar diya saint valentine esa bad bakht admi tha jo ashiqi aur behayi jesi bato mein shamil tha jab ese jail mein qaid kar liya gaya tu is ne usi jail mein ek jailor ki beti ko apne ishq mein giraftar kiya aur us ke sath ek najaiz rishta qaim kia wo jailor ki beti saint valentine ki deewani hogayi aur wo rozana chup chup ke is se milne ke liye aati aur sath mein ek lal gulab bhi sath lati saint valentine ne us larki ko apne ishq mein phansa kar itna deewana bana diya tha ke us larki ne apna mazhab chor kar is padri ke mazhab ko bhi apna liya tha jab in sab bato ka ilm is ke bap jailor ko pata chali tu is ne badshah se kaha ke jese hum ne jail mein ye souch kar band kiya tha ke ye sudhar jaye ga aur khud ko tabdil kar de ga lykin usi ne hamare sath dhoka kiya hai aur meri hi beti ko apne ishq mein phansa liya hai ye sunne ke bad badshah ko is bat pe shaded gussa aya aur badshah ne use phansi ki saza suna di jab us ki phansi ki saza ka elan howa tu uski mashoka rone lagi us waqt is shakhs yani saint valentine ne us ke nam pe ek card banaya aur use sent kiya aur bila akhir 14 February ko us ko usse phansi de di gayi aur wo mar gaya.
April Fool History in Urdu
April Fool History in Urdu
Ye waqiya 3rd century ka hai aur 12th Centuary tak 14 February Valentine’s Day kisi ne bhi nahi manaya tha aur phir inni logo ne yani padri ke mazhab ke logo ne apne is padri ke phansi ke din 14 February ko celebrate karna shuru kiya aur is din ka nam us padri ke nam se mansook kar diya aur phir issi tarha is din (14 February) ka nam valentine’s Day par gaya ap log English se waqif hai aur ye bhi jante honge ke agar koi chez kisi se mansook hojaye tu us ke sath apostrophe ‘S lagaya jata hai 14 February ko masharey mein Valentine day kaha jata hai lykin ye nam is ka nahi hai balke is ka sahi talaffuz hai Valentine’s Day yani Valentine ka din aur afsos hum sab us padri ke din ko 14 February ko mana rahe hote hen us shakhs jesi harkat kar rahe hote hen jis tarha wo larki us padri ke liye gulab le kar milne jaya karti thi usi tarha aaj log apne mehoob se milne gulab le kar jate hen jis shakhs ne gunaho ko aam kia hum us ki yad mein 14 February ko celebrate kar rahe hote hen.
Share Everyone Before 14 February
Ap logo se request hai ye bat ap apne tamam dosto azizo aqarib aur apne chane walo ko bataye aur 14 February se phele unhe is din ka bataye unhe gunaho ke dhaldhal mein jane se ruke ho sake tu ap khud un ko ruke ya is post ko un tak phunchaye share kare kiya pata ye sab pharne ke bad koi bhi 14 February ko Valentine’s Day ko celebrate na kare is ko parne ke bad dosro ko share karna shuru kar de kia pata hamari khoshish kahi logo ko gunah se rukh sakti hai aur hum dosro ko gunaho se rukh kar khud ke liye ajar-e-azeem hasil kar sakte hen.
No comments